Novel Categories and Famous Writers👇 kitabnagri
Novel Categories and Famous Writers
Assalam u alaikum!
kitabnagri pr sabhi readers ko hmari trf se welcome.
Urdu adab ke zamane mein bohat si qisam ki novels likhy gy hain. Un mein se kuch mashoor categories or writers ke baare mein main aap ko batata hoon:
- Age Difference based Udu novels: age difference marriage urdu novels mn aam tor pr un do joron ki kahaniyan hoti hn jin mn dono ki ages mn frq hota hai. jin mn se aksr mn lrki ki age lrky se zyada hoti hai or aksr mn lrky ki age lrki se zyada hai, to in dono surton mn dono ne apni personal life ko kesy handle krna hai Age Difference based novels mn isi mauzu pr baat hoti hai.
- After marriage based Urdu novels: After marriage based Urdu novels mein naye mod aate hain jin se shuru hone wali kahaniyan mukhtalif hoti hain. Urdu adab mein shaadi ke baad ke masail, mohabbat ki kahaniyan, aur samaji, maashraiyat ke masail ke bare mein likhe jane wale novels ”After Marriage Based Urdu Novels” kehlaty hn jo k aik bhi hi ma’aruf Category hai Urdu Novels Adab mn.
- Army Hero based urdu novels: Army based famous Urdu novels dr haqiqat jang ki haqiqat pr mabni hoty hn dileri, wafadari or qurbani jesy mauzu’at in ka markzi nukta hn. possessive Secret agent based urdu novels aam tor pr makhfi amal aur jassusi pr mabni hoty hn.aisy novels mn secret agent ki kirdar ki shakhsiyat kisi mission se mukhtalif mulkon mn baghaawt aur khtron ka samna krta hai.
- Extreme Romantic Urdu Novels: Urdu adab mein romantic novels ki bohat zyada ehmiyat hai. In novels mein aksar romance aur ishq ke bare mein likha jata hai. In novels ke kisse apne aap mein bohat hi dilchasp aur pur-kashish hotay hain. Yeh novels apne hawalay se bohat hi mukhtalif aur akhri safha tak dilkash qisson se bhare huay hain
Forced marriage based romantic novels: aik khas kism ki novel category hai jo dunya mn likhy jaany waaly novels ki taarikh mn ek ehm or khas ma’uzu rha hai.
Insan ki zindagi bht se pehlu’on se guzrti hai jin mn se aik ehm pehlu (hissa) shadi bhi hai, khas tor pr hmaary mu’ashry mn.
lrka/lrki pr unki mrzi k bghair unki marriage zabardsti tai krny ki pabndi lga di jati hai jis ki wja se us lrka/lrki ki life buri trah muta’sir hoti hai.
Revenge based forced marriage urdu novels: urdu adab mn kahniyon ka aam mauzu hai jhan lrka/lrki kahani k batoor e markazi kirdar kisi zulm ya na insafi ka badla leny ki koshish krta hai.
cousin revenge based urdu novels aam tor pr daramai, shadeed or jzab hoty hn. Revenge based romantic novels do hisson pr mushtamil hoty hn.pehla hissa kirdar ki zindagi mn kisi na insafi ka waqi hota hai aur doosra hissa kirdar ki koshish ko bayan krta hai K wo revenge k zariye na insafi ko drust kry.
- Rude zalim Hero Based Novels: ek aam kirdar hai jo urdu novels mn kasrat ke sath istimal hota hai. is kirdar mn am tor us shakhsiyat k sath galtiyan hoti hn jo wo baad mn badlny ki koshish krta hai. jujooni rude hero based novels mn kirdar mn intihaai maghruriyat, nirala pan, intiqam ki hasrat aur khud pasandi ke anaasir khoob paay jaaty hn.
- Second marriage based romantic novels: urdu adab mn istimal hony wala ek aam mauzu hai. aisi kahaniyan am tor pr do biviyon k drmiyan aik mard ki mohabbat, shafqat, kifayat aur shu’oor k baary mn hoti hn. 2nd marriage rude hero based novels ke mazaamin ek khush haal khandan, khushbu dar gharelu mahol aur bchon ki behtreen parwarish k baary mn bhi btaty hn. is ke ilawa in kahaniyon mn 2nd marriage se mily social aur mu’ashrti masa’il bhi shamil hoty hn.
Kuch Famous Urdu Novel Writers ye hn.
- Umera Ahmed:Umera Ahmed ek Pakistani novel nigar hain jinhon ne Urdu zaban mein bohat sy novels likhy hain. Wo aik aesi writer hain jin ki kahaniyan aam insanon ki zindagi se jurri hoti hain. Un ki kahaniyan insaniyat aur mohabbat ki tarbiyat ke sath sath, rahnumai bhi karti hain.
- Nimra Ahmed:Nimra Ahmed, Pakistan ki ek mashoor aur kamyab novel nigar hai, jo kay Urdu adab mein apni khas jagah bana chuki hain. Nimra Ahmed ne apni kahaniyan likhtay huway umer daraz kamyabiyan haasil ki hain. Unki novels mein aam tor par aik nayab dhang se urdu adab ke kai chehron ko pesh kya jata hai, jin mein mohabbat, ishq, junoon aur suspense waghera shamil hotay hain.